India me Judge karna ek bimari hai jo hazaron saal se chalti aa rahi hai 😶 Log to Bhagwan ko bhi judge karte hain hum to phir bhi Insaan hi hain .😁 And I feel moms get judged way too much in society, Jiske conceive karte hi uspe judgement shuru ho jaati hai, "kaisi maa ho tum apne hone wale bachhe ke liye doodh bhi nahi pee sakti ,Maa to kya kya karti hain" Agar baby C section ke through hua to "pure time aram kiya hoga ghar ka kaam kiya hota to operation ki jarurat na padti " Normal delivery hui to "hospital acha raha hoga warna aajkal saare doctor operation hi kar dete hain" Agar breast feed kara rahe ho to "tum ye nahi kha sakti tum bahar nahi ja sakti " aur agar formula feed karaya aur bacha kisi aur reason se bhi roya to(maybe because of colic pain or feeling sleepy) "bachhe ka pet hi nahi bharta hoga,pilane ki koshish hi nahi ki hogi, figure kharab ho jayegi isliye breastfeed nahi karati hogi bla bla bla "(no matter h